SEO Friendly Website | SEO Friendly Blog Kaise Banaye ?

Aj ki post me hum kuch aisi chijo ke bare main knowledge lenge jiski help se ap apne wordpress me seo friendly website ya blog bana sakte hain. 

Ye to sabko he pata hai ki wordpress jana mana naam hai blogging main, har koi apni pehli website wordpress par he banata hai, eska main reason ye hai ki wordpress ko handle karna bahut he easy hai, aur koi bhi plugins ki helps se apne blog ko kafi ache se maintain kar sakta hai.esme apko kisi coding ko samjhne ki jarurat bhi nahi hoti.

Agar apne apna blog ya website banaya hai wordpress par aur ab chahte hain ki apki website ya fir blog seo friendly ho to eske liye ap wordpress seo plugin use karke apne blog ko seo friendly website bana sakte hain.

Here We Know How To Make SEO Friendly Website In Hindi.

1. Seo plugin ka use karke

Waise toh wordpress blog ko hum easily seo friendly bana sakte hain, lekin market main eske liye plugins bhi available hain jiski help se ye kam aur bhi asan ho jata hai.

Agar best plugin ki baat ki jaye toh ap all in one seo ka use kar sakte hain. ye one click par install ho jata hai, aur just fir apko esse fill karne ki need hoti hai. ap esme apni website ka title, description, robots file, google analytic code bahut he asani se put kar sakte hain, wo bhi bina kisi code ke bina. agar simple language main bat kare to all in one seo plug and play plug in hai.

2. Seo Friendly website ka permalink

WordPress main by default permalink ek bahut he buri seo setting hai. waise toh wordpress ne apne recent wale version mein es permalink ko add kiya hai. ye wordpress ka jo permalink hai dikhne mein kuch aisa najar ata hai.

http://domain.com/?p=XX

Abhi bhi kai aise blog aur website hain jo ab tak wordpress ke default permalink ko use karte hain. agar ap es by default permalink ka use na hi kare to best hai. apko ek baat hamesha dhyan rakhna chaiye ki always use search engine friendly permalinks aur ye apke seo friendly website banane main kafi help karte hain. agar ap permalink structure main apne post ka name likhte hain toh ye seo point of view se sabse achi practice hai.

Read also Seo Keyword ka use kaise karein

3. Apke blog ya website ki speed

Kisi bhi Seo friendly website ya blog ke liye uska load time seo point of view se acha mana jata hai. agar ap jada plugins use karte hain toh bhi website ka page load time slow ho jata hai, eski wajah se apki website ka asar search engine ranking par bhi pad sakta hai.

Agar apke blog ka load time jada hai toh es par apko abi se dhyan dene ke need hai. kaise aur bhi factor hote hain jiski wajah se apki website ka load time jada hota hai. aur Seo friendly website banane ke liye apko unhe solve karne ki jarurat padti hai.

Kai blog aise dekhe gaye hain jo kafi jada load time lete hain. eske piche main reason hain unki hosting company. jo hosting thik nahi hai wo website ki speed bhi kam kar deti hai.

Agar apko bhi lagta hai ki apke wordpress ka jo blog hai uska page load time bhi kafi hai. to apko esme tension lene ki jarurat nahi hai. ap just wordpress main plugin use kijiye jo apki website ki speed increase karne mein help karte hain. Website speed test karne ke liye ap Gtmetrix or google page speed insights ka upyog karein.

Wp Super Cache aur W3 Total Cache ab tak ke jane mane plugin hai. en plugins ki help se hum apne blog ko seo optimize karke apne blog ki page load time ko sahi kar sakte hain.

Apni seo friendly website ko hamesha sahi tarike se chalane aur manage karne ke liye ap different type ke plugins ka use kar sakte hain, but dhyan de ki jada plugins ko use karke apki website ki speed bhi kam ho sakti hai. isliye hamesha jane mane plugins ko he use kijiye, eske sath he ye apke seo mein bhi help karte hain.

4. Use compress images

WordPress par jo bhi blog banata hai usse images ki need toh padti he hai, aur dhire dhire hum kai sare articles bhi apne website par likh kar dalte hain aur sath he sath kai images bhi use karte hain, ye bhi ek main reason hai ki apki website ka page load time jada karta hai. isliye hamesha dhyan rakhe ki jab bhi ap koi image apne blog ke liye use kare toh usse tool se compress kar le. eske liye ap Tinypng ka use kar sakte hain.

Read also Off Page Seo kaise karein

5. Seo friendly theme

agar ap apne blog ko seo friendly karna chahte hain toh hamesha seo and mobile friendly theme ka he use kare. ajkal ye notice kiya gaya hai ko user desktop aur laptop se kam aur mobile se jada search karte hain.

yani ki jabse smartphone ka boom sa aaya hai toh jada tar log apne mobile se he google ko use karte hain. es liye apki website bhi mobile friendly honi chaiye taki user ko apke blog ko access karne main koi problem na ho. Website ka mobile friendly test karne ke liye aap Google ke tool Search Console ka upyog jaroor karein.

6. Seo friendly article

Ek achhi seo friendly website ke liye anya jaroori bato ke sath sath Seo friendly articles ki bhi jarurat hoti he. Agar apki website ya blog me sabhi article seo friendly likhe hue hain to iska matlab he ki search engines me apki website ka content bahut jaldi rank hoga. Yadi ap ya samjhna chahte ho ki Seo friendly article kaise likhte hain to mene ek post detail me likhi he use jaroor padhein. Is post ka link pichle sentence me blue colour me diya he.

ye the kuch aise tips jinhe use karne se apke wordpress blog ka seo best tarike se hoga, aur apke website main seo se related kabhi koi problem nahi hogi. Jis se apki ek seo friendly website tayyar ho jayegi. All the best.. Happy blogging.

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.