Blog के लिए Domain Name Selection कैसे करें?

Domain Name – On Page SEO in Hindi.

Friends aaj ka hamara topic hai on page seo. Jo bhi SEO industry mein job karta hai ya fir jisne bhi SEO ke bare mein suna hai, to unhone On Page SEO ke bare mein bhi jarur suna he hoga. Hamare paas kafi queries ati hain aur ye pucha jata hai ki ye on page seo aur off page seo hota kya hai?

Sabse pehle hum bat karenge ki what is on page seo? 

On Page SEO kya hota hai?    

On page ka matlab hota hai website ke upar working karna. Website ke andar kaam karna. Website ke andar jo content hota hai, design hota hai uske sare components mein working karna onpage seo hota hai. Esme sabse pehle jo hamare pas cheeje shamil hain usme hai Domain Name. Meta Title, Meta Keywords, Meta Tags, Content, H1 Tag, Schema .org.

Aj hum baat karenge sabse pehle ki apka Domain Name kaisa hona chahiye SEO ke point of view se?

Hamara domain name kis tarah ka aur kaisa hona chahiye. To espe hum bat karenge fir iske baad jo hai dusri cheejo ko discuss karenge.  

Domain Name

1- Domain name ke andar 3 Batein

Domain name jo hai wo hamesha he relevant hona chahiye. Yaani ki apke blog topic par hona chahiye. Apka blog kisi bhi topic par ho sakta hai. Aapka blog food recipes pe ho sakta hai. Apka blog blogging par ho sakta hai.

WordPress par apka blog ho sakta hai, Computer Networking, Microsoft Certification, Google Analytics Tutorials, Webmaster Tutorials, Google Adsense Tutorials etc jis marzi topic mein apka blog ho sakta haiwhat’s so ever.

Lekin apka domain name subject ke relevant hona chahiye. Bolne ka matlab ki jaise apka blog hai to blogging par aap udhar fashion ke he tips diye ja rahe ho. Aisa nahi hona chahiye.

2- Domain name should be easy to remember.

Hamesha ye koshish karein ki apka jo blog name hai wo asani se yaad ho jaye. Yaani ki jo log hain unko aap ke blog ka name easily yaad hona chahiye.   

Easily yad hone se ye fayda hoga ki wo jaldi se apki website ko open kar sakte hain or unko aap ki website find karne ki jarurat bhi nahi hogi google par.

Esi Liye hamesha  website ka url short he hona chahiye. Bada url hoga to yaad karne mein bhi problem hoti hai. Fir kafi irritate hote hain ki yaar website ka ulr kya tha and usse pucha esse pucho.

3- Domain name must be having primary keyword 

Jo working apki website ya blog ki hai wo primary keyword bhi apke domain name mein hona chahiye. It must be there. Isse apki ranking kafi jaldi badhegi aur apko acha traffic bhi milega.  Suppose kijiye ki ap search kar rahe hein HummingWorld.

To apko uske kai tarah ke results google search engine main nazar aayenge. Or ap kahin na kahin dekhenge ki hamari ye website bhi apko najar ayegi hummingworld.com ke names se.

Ye main apko example de raha hun ki kaise ye work karta hai jab primary keyword apke domain mai hota hai. Agar aap apna primary name ke sath domain find kar rahe hai or wo agar .com mein available nahi hai to ap usse .in mein bhi buy kar sakte hain. Bus itna dhyaan rakhe ki primary keyword jarur usme rakhe.

Aur Ant Mein

Aap apne blog mein uske relevant he article dalte hai to wo jaldi he google SERP mein nazar aane lagega.

To ye baatein hamesha dhyan rakhe ki ye sab aap ke domain ke andar hona chahiye

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.